Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun-e-zist bhi khona koi mazaq nahin

Nazar Dwivedi

sukun-e-zist bhi khona koi mazaq nahin

Nazar Dwivedi

MORE BYNazar Dwivedi

    sukūn-e-zīst bhī khonā koī mazāq nahīñ

    ġhazal meñ dard pironā koī mazāq nahīñ

    ye dil nikāl ke rakhnā to pahle kāġhaz par

    phir āñsuoñ se bhigonā koī mazāq nahīñ

    kisī niiñd uḌānā to phir bhī āsāñ hai

    magar sukūn se sonā koī mazāq nahīñ

    safar hayāt chalnā hai jaise sho'loñ par

    ġhamoñ ke bojh ko Dhonā koī mazāq nahīñ

    lahū tamām ashkoñ meñ Dhaltā jaatā hai

    kisī yaad meñ ronā koī mazāq nahīñ

    ḳhushī nasīb meñ sab ke likhī nahīñ hotī

    hasīn ḳhvāb sañjonā koī mazāq nahīñ

    liyā mazāq meñ jis ne gayā vo duniyā se

    kahā thā maiñ ne corona koī mazāq nahīñ

    ye shā'irī hai tamāsha nahīñ koī sāhib

    lahū se aañkh dhonā koī mazāq nahīñ

    naqāb oḌh le koī 'nazar' sharāfat

    magar sharīf bhī honā koī mazāq nahīñ

    sukun-e-zist bhi khona koi mazaq nahin

    ghazal mein dard pirona koi mazaq nahin

    ye dil nikal ke rakhna to pahle kaghaz par

    phir aansuon se bhigona koi mazaq nahin

    kisi ki nind uDana to phir bhi aasan hai

    magar sukun se sona koi mazaq nahin

    safar hayat ka chalna hai jaise sho'lon par

    ghamon ke bojh ko Dhona koi mazaq nahin

    lahu tamam hi ashkon mein Dhalta jata hai

    kisi ki yaad mein rona koi mazaq nahin

    KHushi nasib mein sab ke likhi nahin hoti

    hasin KHwab sanjona koi mazaq nahin

    liya mazaq mein jis ne gaya wo duniya se

    kaha tha main ne corona koi mazaq nahin

    ye sha'iri hai tamasha nahin koi sahib

    lahu se aankh ka dhona koi mazaq nahin

    naqab oDh le koi 'nazar' sharafat ka

    magar sharif bhi hona koi mazaq nahin

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now