sukun ghar mein mayassar na ghar ke bahar hai
sukūn ghar meñ mayassar na ghar ke bāhar hai
ye kis gunāh kī pādāsh ab mire sar hai
na farsh-e-gul pe na kāñToñ pe merā bistar hai
haqīqatan ye mire apne hausle par hai
ḳhudā hī chāhe to sāhil nasīb ho jaa.e
mirī nigāh meñ chāroñ taraf samundar hai
yuuñ hī nahīñ koī ā.īna hairatī hogā
mujhe yaqīñ hai koī aa.ine ke andar hai
kise dikhā.eñ garebāñ kī dhajjiyāñ ai dost
ki jis ne chaak kiyā hai vahī rafūgar hai
ġharīb log hameñ kyā ġharaz siyāsat se
hamāre dil meñ hai jo kuchh vahī zabāñ par hai
yahāñ bhī aa ke tumhārā ḳhulūs kaam aaya
tumhāre naam kī charchā 'zuhūr' ghar ghar hai
sukun ghar mein mayassar na ghar ke bahar hai
ye kis gunah ki padash ab mere sar hai
na farsh-e-gul pe na kanTon pe mera bistar hai
haqiqatan ye mere apne hausle par hai
KHuda hi chahe to sahil nasib ho jae
meri nigah mein chaaron taraf samundar hai
yun hi nahin koi aaina hairati hoga
mujhe yaqin hai koi aaine ke andar hai
kise dikhaen gareban ki dhajjiyan ai dost
ki jis ne chaak kiya hai wahi rafugar hai
gharib log hamein kya gharaz siyasat se
hamare dil mein hai jo kuchh wahi zaban par hai
yahan bhi aa ke tumhaara KHulus kaam aaya
tumhaare nam ki charcha 'zuhur' ghar ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.