sukun kahan KHalish-e-dard-e-moatabar ke baghair
sukūñ kahāñ ḳhalish-e-dard-e-mo'atabar ke baġhair
hañsī laboñ pe na aa.egī chashm-e-tar ke baġhair
hazār fāsle haa.el the raah meñ lekin
tumhāre jalvoñ ko dekhā kiye nazar ke baġhair
rah-e-hayāt kī dushvāriyāñ vo kyā jaane
safar kiyā hī na ho jis ne ham-safar ke baġhair
diye haiñ kitne sahāre shikasta-pā.ī ne
chalā huuñ manzil-e-jānāñ ko rāhbar ke baġhair
gilā nahīñ hai agar aap mujh ko bhuul ga.e
guzar hī jā.eñgī rāteñ mirī sahar ke baġhair
ḳhamoshiyoñ ne bahut zabt-e-ġham kiyā lekin
koī asar na huā āh-e-be-asar ke baġhair
tumhārī yaad ne pahuñchā diyā kahāñ mujh ko
safar tamām huā ālam-e-safar ke baġhair
vo din ga.e ki ġham-e-dil ko fikr-e-darmāñ thī
tabī'at ab to sañbhaltī hai chārāgar ke baġhair
na jaane kaunsī manzil nazar meñ hai 'sājid'
ḳhulūs-e-dil ne jo sajde kiye haiñ sar ke baġhair
sukun kahan KHalish-e-dard-e-mo'atabar ke baghair
hansi labon pe na aaegi chashm-e-tar ke baghair
hazar fasle hael the rah mein lekin
tumhaare jalwon ko dekha kiye nazar ke baghair
rah-e-hayat ki dushwariyan wo kya jaane
safar kiya hi na ho jis ne ham-safar ke baghair
diye hain kitne sahaare shikasta-pai ne
chala hun manzil-e-jaanan ko rahbar ke baghair
gila nahin hai agar aap mujh ko bhul gae
guzar hi jaengi raaten meri sahar ke baghair
KHamoshiyon ne bahut zabt-e-gham kiya lekin
koi asar na hua aah-e-be-asar ke baghair
tumhaari yaad ne pahuncha diya kahan mujh ko
safar tamam hua aalam-e-safar ke baghair
wo din gae ki gham-e-dil ko fikr-e-darman thi
tabi'at ab to sanbhalti hai chaaragar ke baghair
na jaane kaunsi manzil nazar mein hai 'sajid'
KHulus-e-dil ne jo sajde kiye hain sar ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.