sukun ko chhoD ke gham be-hisab lata hun
sukūñ ko chhoḌ ke ġham be-hisāb laatā huuñ
suhāne ḳhvāb bhī saare ḳharāb laatā huuñ
jo tum ne toḌe purāne the saare ke saare
zarā ruko nayā koī maiñ ḳhvāb laatā huuñ
makān nahr kināre tumheñ mubārak ho
maiñ kam sahī magar aap apnā aab laatā huuñ
vo bole mujh se mohabbat gunāh thī so maiñ
unheñ luTāne ko apne savāb laatā huuñ
kahānī mujh ko sunāo na aur logoñ kī
maiñ apne vāste apnī kitāb laatā huuñ
tumhāre har gile kā har savāl kā 'sālim'
tū mere dil se gar utre javāb laatā huuñ
sukun ko chhoD ke gham be-hisab lata hun
suhane KHwab bhi sare KHarab lata hun
jo tum ne toDe purane the sare ke sare
zara ruko naya koi main KHwab lata hun
makan nahr kinare tumhein mubarak ho
main kam sahi magar aap apna aab lata hun
wo bole mujh se mohabbat gunah thi so main
unhen luTane ko apne sawab lata hun
kahani mujh ko sunao na aur logon ki
main apne waste apni kitab lata hun
tumhaare har gile ka har sawal ka 'salim'
tu mere dil se gar utre jawab lata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.