sukun kuchh to mila dil ka majra likh kar
sukūn kuchh to milā dil kā mājrā likh kar
lifāfa phaaḌ diyā phir tirā pata likh kar
samajh meñ ye nahīñ aatā ḳhitāb kaise karūñ
hurūf kaaT diye maiñ ne bār-hā likh kar
qalam ne Tokā bhī dil kī sadā ne rokā bhī
magar jo us ne kahā maiñ ne de diyā likh kar
hujūm-e-ġham meñ zabāñ saath jab na de paa.ī
jo haal dil kā thā maiñ ne sunā diyā likh kar
ab us kī baaī hai ab iḳhtiyār us kā hai
kahīñ kā maiñ na rahā us ko bevafā likh kar
bhalā sā koī bhī ik naam us kā rakh lenā
par us ke naam ko āñkhoñ se chūmnā likh kar
maiñ apnī hasrat-e-dil kā hisāb kaise duuñ
ye Dher maiñ ne lagāyā zarā zarā likh kar
mujhe to apne liye rāsta tarāshnā hai
maiñ kyā karūñgā kisī kā likhā huā likh kar
milī hai us ke sabab itnī raushnī 'shahzād'
bujhā diye ka.ī sūraj use diyā likh kar
sukun kuchh to mila dil ka majra likh kar
lifafa phaD diya phir tera pata likh kar
samajh mein ye nahin aata KHitab kaise karun
huruf kaT diye main ne bar-ha likh kar
qalam ne Toka bhi dil ki sada ne roka bhi
magar jo us ne kaha main ne de diya likh kar
hujum-e-gham mein zaban sath jab na de pai
jo haal dil ka tha main ne suna diya likh kar
ab us ki bai hai ab iKHtiyar us ka hai
kahin ka main na raha us ko bewafa likh kar
bhala sa koi bhi ek nam us ka rakh lena
par us ke nam ko aankhon se chumna likh kar
main apni hasrat-e-dil ka hisab kaise dun
ye Dher main ne lagaya zara zara likh kar
mujhe to apne liye rasta tarashna hai
main kya karunga kisi ka likha hua likh kar
mili hai us ke sabab itni raushni 'shahzad'
bujha diye kai suraj use diya likh kar
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 957)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.