sukun mange na rahat mangti hai
sukūñ māñge na rāhat māñgtī hai
ye chāhat to ibādat māñgtī hai
use rasm-o-rivāyat se ġharaz kyā
mohabbat to mohabbat māñgtī hai
rivāyat toḌnā mushkil bahut hai
har ik jiddat baġhāvat māñgtī hai
hamārī aane vaalī nasl har dam
buzurgoñ se nasīhat māñgtī hai
vo ik nādān bachchī kar ke sajda
ḳhudā se roz jannat māñgtī hai
zamīñ aur āsmāñ kam paḌ rahe haiñ
tamanna aur vus.at māñgtī hai
hamārī pyaas shīshe toḌ baiThī
ye paglī kitnī shiddat māñgtī hai
mohabbat zindagī detī hai lekin
mohabbat hī qayāmat māñgtī hai
ġhazal kī aabrū ab mujh se 'rinkī'
zamāne-bhar meñ shohrat māñgtī hai
sukun mange na rahat mangti hai
ye chahat to ibaadat mangti hai
use rasm-o-riwayat se gharaz kya
mohabbat to mohabbat mangti hai
riwayat toDna mushkil bahut hai
har ek jiddat baghawat mangti hai
hamari aane wali nasl har dam
buzurgon se nasihat mangti hai
wo ek nadan bachchi kar ke sajda
KHuda se roz jannat mangti hai
zamin aur aasman kam paD rahe hain
tamanna aur wusat mangti hai
hamari pyas shishe toD baiThi
ye pagli kitni shiddat mangti hai
mohabbat zindagi deti hai lekin
mohabbat hi qayamat mangti hai
ghazal ki aabru ab mujh se 'rinki'
zamane-bhar mein shohrat mangti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.