sukun mein kaise bhala taliban-e-zat rahen
sukūñ meñ kaise bhalā tālibān-e-zāt raheñ
jab aap yūñhī pas-e-parda-e-sifāt raheñ
agar na aap pas-e-parda-e-sifāt raheñ
na mumkināt hī Thahreñ na vājibāt raheñ
vo ḳhāk-e-dar ho agar zīnat-e-jabīn-e-niyāz
hamīñ ko haq hai ki masjūd-e-kā.enāt raheñ
hai ḳhizr ka.aba-e-irfāñ yaqīñ kī yak-rañgī
sanam-kade meñ ḳhirad ke tavahhumāt raheñ
ulajh ke rah ga.ī zarroñ meñ fikr-e-nau-e-bashar
kahāñ ye mahram-e-asrār-e-kā.enāt raheñ
tavāf-e-shams-o-qamar muntahā-e-fikr-o-nazar
junūñ ye hai ki ḳhudāvand-e-kā.enāt raheñ
durust mujh se nahīñ shikva-e-kam-āmezī
maiñ chāhtā huuñ ki qaa.em ta.alluqāt raheñ
kabhī ināyat-e-ahbāb kī tamanna thī
ab aarzū hai ki mahrūm-e-iltifāt raheñ
'rashīd' aish agar ho nasīb-e-ahl-e-hunar
to kis ke ho ke zamāne ke hādsāt raheñ
sukun mein kaise bhala taliban-e-zat rahen
jab aap yunhi pas-e-parda-e-sifat rahen
agar na aap pas-e-parda-e-sifat rahen
na mumkinat hi Thahren na wajibaat rahen
wo KHak-e-dar ho agar zinat-e-jabin-e-niyaz
hamin ko haq hai ki masjud-e-kaenat rahen
hai KHizr kaba-e-irfan yaqin ki yak-rangi
sanam-kade mein KHirad ke tawahhumat rahen
ulajh ke rah gai zarron mein fikr-e-nau-e-bashar
kahan ye mahram-e-asrar-e-kaenat rahen
tawaf-e-shams-o-qamar muntaha-e-fikr-o-nazar
junun ye hai ki KHudawand-e-kaenat rahen
durust mujh se nahin shikwa-e-kam-amezi
main chahta hun ki qaem talluqat rahen
kabhi inayat-e-ahbab ki tamanna thi
ab aarzu hai ki mahrum-e-iltifat rahen
'rashid' aish agar ho nasib-e-ahl-e-hunar
to kis ke ho ke zamane ke hadsat rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.