Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun milta nahin jab bhi to man ki yaad aati hai

Harsh Saxena

sukun milta nahin jab bhi to man ki yaad aati hai

Harsh Saxena

MORE BYHarsh Saxena

    sukūñ miltā nahīñ jab bhī to maañ yaad aatī hai

    ki jaise bārishoñ rut meñ chhatrī yaad aatī hai

    kahīñ is shahr āb-o-havā meñ dam na ghuT jaa.e

    ki mujh ko gaañv soñdhī miTTī yaad aatī hai

    dikhā.ūñ 'ishq pākīzgī kaise tumheñ jānāñ

    ḳhudā ke zikr par aksar tumhārī yaad aatī hai

    sabab mat pūchhnā mujh se tum us ko yaad karne

    maraz ke had se baḌhne par ḳhudā yaad aatī hai

    vo laḌkī chhoḌ aayā thā jise maiñ bad-gumānī meñ

    akele meñ vahī laḌkī sisaktī yaad aatī hai

    isī ummīd par ab tak ġhazal kahtā rahā huuñ maiñ

    kabhī vo pūchh le shāyad ki kis yaad aatī hai

    musībat mol lene hai ik tarkīb ye bhī 'harsh'

    use itnā kaho terī sahelī yaad aatī hai

    sukun milta nahin jab bhi to man ki yaad aati hai

    ki jaise barishon ki rut mein chhatri yaad aati hai

    kahin is shahr ki aab-o-hawa mein dam na ghuT jae

    ki mujh ko ganw ki sondhi si miTTi yaad aati hai

    dikhaun 'ishq ki pakizgi kaise tumhein jaanan

    KHuda ke zikr par aksar tumhaari yaad aati hai

    sabab mat puchhna mujh se tum us ko yaad karne ka

    maraz ke had se baDhne par KHuda ki yaad aati hai

    wo laDki chhoD aaya tha jise main bad-gumani mein

    akele mein wahi laDki sisakti yaad aati hai

    isi ummid par ab tak ghazal kahta raha hun main

    kabhi wo puchh le shayad ki kis ki yaad aati hai

    musibat mol lene ki hai ek tarkib ye bhi 'harsh'

    use itna kaho teri saheli yaad aati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now