sukun na tha magar itna bhi intishaar na tha
sukūñ na thā magar itnā bhī intishār na thā
hamāre chāroñ taraf ḳhauf kā hisār na thā
tamām umr ḳhizāñ meñ jhulaste guzrī hai
hamāre sar pe kabhī sāya-e-bahār na thā
rahā hamesha kisī aur ke tasarruf meñ
ḳhud apne dil pe kabhī apnā iḳhtiyār na thā
har ek haath uThā.e hue thā yuuñ patthar
ki jaise shahr meñ koī gunāhgār na thā
amīr-e-shahr ke chehre ke dāġh-dhabbe the
fasīl-e-shahr pe chaspāñ vo ishtihār na thā
hazār daftar-e-ma.anī khañgāl Daale 'nāz'
magar kahīñ bhī koī harf-e-e'tibār na thā
sukun na tha magar itna bhi intishaar na tha
hamare chaaron taraf KHauf ka hisar na tha
tamam umr KHizan mein jhulaste guzri hai
hamare sar pe kabhi saya-e-bahaar na tha
raha hamesha kisi aur ke tasarruf mein
KHud apne dil pe kabhi apna iKHtiyar na tha
har ek hath uThae hue tha yun patthar
ki jaise shahr mein koi gunahgar na tha
amir-e-shahr ke chehre ke dagh-dhabbe the
fasil-e-shahr pe chaspan wo ishtihaar na tha
hazar daftar-e-mani khangal Dale 'naz'
magar kahin bhi koi harf-e-e'tibar na tha
- Book : Sahra Mein Ek Boond (Pg. 53)
- Author : Naz Quadri
- Publication : Maktaba Sadaf, Muzaffarpur (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.