sukun-o-sabr luTa hosh ka KHazana gaya
sukūn-o-sabr luTā hosh kā ḳhazāna gayā
tumhīñ batāo ḳhudārā ki merā kyā na gayā
girā.ī barq-e-nazar-soz bārhā lekin
mazāq-e-dīd hamārā shikast khā na gayā
ḳhudā kī zaat pe insāñ ne kar diye hamle
fareb-e-aql se jab aap meñ rahā na gayā
hamāre zauq-e-nazar ne to ḳhuub kaam kiyā
chhupe hazār tarah vo magar chhupā na gayā
tamām umr jalāyā charāġh-e-dil maiñ ne
shab-e-siyāh kā lekin ye silsila na gayā
ḳhulūs-e-dil meñ hī 'anjum' kamī rahī hogī
ki vo qarīb rahe phir bhī fāsla na gayā
sukun-o-sabr luTa hosh ka KHazana gaya
tumhin batao KHudara ki mera kya na gaya
girai barq-e-nazar-soz barha lekin
mazaq-e-did hamara shikast kha na gaya
KHuda ki zat pe insan ne kar diye hamle
fareb-e-aql se jab aap mein raha na gaya
hamare zauq-e-nazar ne to KHub kaam kiya
chhupe hazar tarah wo magar chhupa na gaya
tamam umr jalaya charagh-e-dil main ne
shab-e-siyah ka lekin ye silsila na gaya
KHulus-e-dil mein hi 'anjum' kami rahi hogi
ki wo qarib rahe phir bhi fasla na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.