sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya
sukūñ paayā tabī.at ne na dil ko hī qarār aayā
jo aañsū aañkh meñ aayā baḌā be-e'tibār aayā
kisī kā bāñkpan saare zamāne meñ pukār aayā
chamak āñkhoñ meñ aa.ī nok-e-mizhgāñ par nikhār aayā
muqaddar apnā apnā hai gul-o-shabnam kī vaadī meñ
koī hañstā huā aayā to koī ashk-bār aayā
mujhe kyā vāsta hai aap ke husn-e-taḳhyyul se
mirī āñkhoñ pe jab aayā mire ḳhvāboñ ko pyaar aayā
tirī be-iltifātī ko ḳhudā rakhe ki ai saaqī
sharāb-e-ġham se ham tishna-laboñ par bhī ḳhumār aayā
hue haiñ rañg-o-bū dast-o-garebāñ aise gulshan meñ
nasīm-e-sub.h kā dāman bhī ho kar taar taar aayā
dhuāñ jo be-kasoñ kī aah kā uTThā to ai 'jumbish'
chaman vaale pukār uTThe ki vo abr-e-bahār aayā
sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya
jo aansu aankh mein aaya baDa be-e'tibar aaya
kisi ka bankpan sare zamane mein pukar aaya
chamak aankhon mein aai nok-e-mizhgan par nikhaar aaya
muqaddar apna apna hai gul-o-shabnam ki wadi mein
koi hansta hua aaya to koi ashk-bar aaya
mujhe kya wasta hai aap ke husn-e-taKHyyul se
meri aankhon pe jab aaya mere KHwabon ko pyar aaya
teri be-iltifati ko KHuda rakhe ki ai saqi
sharab-e-gham se hum tishna-labon par bhi KHumar aaya
hue hain rang-o-bu dast-o-gareban aise gulshan mein
nasim-e-subh ka daman bhi ho kar tar tar aaya
dhuan jo be-kason ki aah ka uTTha to ai 'jumbish'
chaman wale pukar uTThe ki wo abr-e-bahaar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.