sukun-pazir mera iztirab ho na saka
sukūñ-pazīr mirā iztirāb ho na sakā
ye dahr vo hai jahāñ inqalāb ho na sakā
harīm-e-nāz meñ dil bāryāb ho na sakā
ye zarra ham-sharaf-e-āftāb ho na sakā
mirī nazar meñ koī intiḳhāb ho na sakā
tire sivā koī terā javāb ho na sakā
sarisht-e-bad ko badaltī nahīñ hai sohbat-e-nek
chaman meñ rah ke bhī kāñTā gulāb ho na sakā
mirī nazar thī rasā yā tumheñ thā shauq-e-numūd
hijāb kar na sake yā hijāb ho na sakā
bahāreñ gulshan-e-duniyā meñ be-shumār aa.iiñ
javāb-e-ahd-e-risālat-ma.āb ho na sakā
hai faiz-e-hazrat-e-'bāqar' se ittibā.a-e-vahīd
ki jin ke rang kā 'sāqib' javāb ho na sakā
sukun-pazir mera iztirab ho na saka
ye dahr wo hai jahan inqalab ho na saka
harim-e-naz mein dil baryab ho na saka
ye zarra ham-sharaf-e-aftab ho na saka
meri nazar mein koi intiKHab ho na saka
tere siwa koi tera jawab ho na saka
sarisht-e-bad ko badalti nahin hai sohbat-e-nek
chaman mein rah ke bhi kanTa gulab ho na saka
meri nazar thi rasa ya tumhein tha shauq-e-numud
hijab kar na sake ya hijab ho na saka
bahaaren gulshan-e-duniya mein be-shumar aain
jawab-e-ahd-e-risalat-maab ho na saka
hai faiz-e-hazrat-e-'baqar' se ittibaa-e-wahid
ki jin ke rang ka 'saqib' jawab ho na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.