sukun pyar tabassum bahaar gul shabnam
sukūn pyaar tabassum bahār gul shabnam
ḳhushī meñ ziist ko kyā kyā samajh ga.e the ham
ġhamoñ se qalb-o-nazar kā badal gayā aalam
magar mizāj-e-tabassum na ho sakā barham
ye kis ko DhūñDte phirte haiñ mere dīda-e-nam
kahāñ vo log jo ab baañT leñ hayāt ke ġham
kis āftāb-sifat shaḳhs ke ruke the qadam
charāġh dair-o-haram ke haiñ aaj tak maddham
junūñ kī raah se guzrā nahīñ koī shāyad
kisī jagah to dikhā.ī de koī naqsh-e-qadam
ḳhirad pahuñch ke vahāñ aaj naaz kartī hai
vo jis maqām pe kal tak guzār aa.e ham
rah-e-vafā se guzarnā muhāl ho jaatā
agar 'nasīb' na hotā hamāre saath ye ġham
sukun pyar tabassum bahaar gul shabnam
KHushi mein zist ko kya kya samajh gae the hum
ghamon se qalb-o-nazar ka badal gaya aalam
magar mizaj-e-tabassum na ho saka barham
ye kis ko DhunDte phirte hain mere dida-e-nam
kahan wo log jo ab banT len hayat ke gham
kis aaftab-sifat shaKHs ke ruke the qadam
charagh dair-o-haram ke hain aaj tak maddham
junun ki rah se guzra nahin koi shayad
kisi jagah to dikhai de koi naqsh-e-qadam
KHirad pahunch ke wahan aaj naz karti hai
wo jis maqam pe kal tak guzar aae hum
rah-e-wafa se guzarna muhaal ho jata
agar 'nasib' na hota hamare sath ye gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.