sukut-e-asr mein gunji hui azan hun main
sukūt-e-asr meñ gūñjī huī azaan huuñ maiñ
bahut se girtī nashīnoñ ke darmiyān huuñ maiñ
adab kī karb-o-balā kūfa-e-sadā hai gavāh
havā-e-shām kā likkhā huā bayān huuñ maiñ
vo ḳhema-gāh-e-mohabbat to jal ga.ī kab kī
aur us kī raakh meñ muddat se nīm-jān huuñ maiñ
furāt-e-tishnagī-e-shauq rū-ba-rū tere
jise jalāyā gayā thā vahī makān huuñ maiñ
vo TuuTā neza vo be-chādarī vo shām-e-alam
kabhī jo ḳhatm na hogī vo dāstān huuñ maiñ
gulū-e-tishna-labī dekh kis salīqe se
kashīda tiir sambhāle hue kamān huuñ maiñ
sharī.at-e-dil-o-duniyā uThā.e phirtī rahī
vo kah rahā hai magar phir bhī nā-tavān huuñ maiñ
ye bām-o-dar ko sajāyā gayā hai mere liye
nazzārgī tirī ḳhātir lahūluhān huuñ maiñ
sukut-e-asr mein gunji hui azan hun main
bahut se girti nashinon ke darmiyan hun main
adab ki karb-o-bala kufa-e-sada hai gawah
hawa-e-sham ka likkha hua bayan hun main
wo KHema-gah-e-mohabbat to jal gai kab ki
aur us ki rakh mein muddat se nim-jaan hun main
furaat-e-tishnagi-e-shauq ru-ba-ru tere
jise jalaya gaya tha wahi makan hun main
wo TuTa neza wo be-chadari wo sham-e-alam
kabhi jo KHatm na hogi wo dastan hun main
gulu-e-tishna-labi dekh kis saliqe se
kashida tir sambhaale hue kaman hun main
shariat-e-dil-o-duniya uThae phirti rahi
wo kah raha hai magar phir bhi na-tawan hun main
ye baam-o-dar ko sajaya gaya hai mere liye
nazzargi teri KHatir lahuluhan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.