sukut-e-dil ki taraf hain samaaten apni
sukūt-e-dil kī taraf haiñ samā.ateñ apnī
hameñ pukār rahī haiñ haqīqateñ apnī
tire sitam bhī musalsal haiñ aur phir is par
ḳhud apne dil ko dukhāne kī ādateñ apnī
yahāñ sab ahl-e-ḳhirad aur maiñ ik ahl-e-junūñ
badal sakūñ bhī to kis se tabī.ateñ apnī
ḳhudā ko sauñp diye kaam to sabhī lekin
maiñ us ke naam na kar paayā fursateñ apnī
vo ek ahd-e-javānī jo rā.egāñ guzrā
tamām umr dikhā.egā vahshateñ apnī
ḳhud ek had meñ sameTe hue vajūd apnā
talāsh kartā rahā huuñ maiñ vus.ateñ apnī
inhī ke sadqe bachī hai amal kī gunjā.ish
baḌe hī dhyān se sunñā shikāyateñ apnī
ajab nahīñ vo ḳhudā ban ke phir rahā hai agar
sañbhal sakī haiñ bhalā kis se shohrateñ apnī
so tai huā hai sar-e-bazm-e-dushmanāñ ye hī
ḳhud apnā qatl kareñgī rifāqateñ apnī
agar burā na lage tujh ko ek baat kahūñ
tū apne paas hī rakh sab nasīhateñ apnī
tujhe 'amar' tirī be-chehragī mubārak ho
miTā de aur bhī saarī sabāhateñ apnī
sukut-e-dil ki taraf hain samaaten apni
hamein pukar rahi hain haqiqaten apni
tere sitam bhi musalsal hain aur phir is par
KHud apne dil ko dukhane ki aadaten apni
yahan sab ahl-e-KHirad aur main ek ahl-e-junun
badal sakun bhi to kis se tabiaten apni
KHuda ko saunp diye kaam to sabhi lekin
main us ke nam na kar paya fursaten apni
wo ek ahd-e-jawani jo raegan guzra
tamam umr dikhaega wahshaten apni
KHud ek had mein sameTe hue wajud apna
talash karta raha hun main wusaten apni
inhi ke sadqe bachi hai amal ki gunjaish
baDe hi dhyan se sunna shikayaten apni
ajab nahin wo KHuda ban ke phir raha hai agar
sanbhal saki hain bhala kis se shohraten apni
so tai hua hai sar-e-bazm-e-dushmanan ye hi
KHud apna qatl karengi rifaqaten apni
agar bura na lage tujh ko ek baat kahun
tu apne pas hi rakh sab nasihaten apni
tujhe 'amar' teri be-chehragi mubarak ho
miTa de aur bhi sari sabahaten apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.