sukut-e-gham se baqi hai magar rasm-e-payam ab bhi
sukūt-e-ġham se baaqī hai magar rasm-e-payām ab bhī
shab-e-tārīk meñ huuñ mehr-o-mah se ham-kalām ab bhī
lab-e-ḳhāmosh par maanā ki ab naale nahīñ aate
nigāhoñ meñ magar baaqī hai andāz-e-kalām ab bhī
bhulā dene kī paiham koshishoñ ke baa'd bhī nāseh
baḌhā detā hai dil kī dhaḌkaneñ us but kā naam ab bhī
nahīñ vo nisbat-e-derīna lekin is ko kyā kahiye
vahī ham haiñ vahī aglī sī hai rasm-e-salām ab bhī
suno 'ahd-e-vafā kī 'azmatoñ ko bhūlne vaalo
mirī nazroñ meñ hai 'ahd-e-vafā kā ehtirām ab bhī
tumhāre zulf-o-'āriz kī qasam ab bhī jo maiñ chāhūñ
ishāroñ se badal saktā huuñ daur-e-sub.h-o-shām ab bhī
kabhī aate haiñ vo to ehtirāman uTh hī jaatā huuñ
janāb-e-shaiḳh kā baaqī hai dil meñ ehtirām ab bhī
sukut-e-gham se baqi hai magar rasm-e-payam ab bhi
shab-e-tarik mein hun mehr-o-mah se ham-kalam ab bhi
lab-e-KHamosh par mana ki ab nale nahin aate
nigahon mein magar baqi hai andaz-e-kalam ab bhi
bhula dene ki paiham koshishon ke ba'd bhi naseh
baDha deta hai dil ki dhaDkanen us but ka nam ab bhi
nahin wo nisbat-e-derina lekin is ko kya kahiye
wahi hum hain wahi agli si hai rasm-e-salam ab bhi
suno 'ahd-e-wafa ki 'azmaton ko bhulne walo
meri nazron mein hai 'ahd-e-wafa ka ehtiram ab bhi
tumhaare zulf-o-'ariz ki qasam ab bhi jo main chahun
ishaaron se badal sakta hun daur-e-subh-o-sham ab bhi
kabhi aate hain wo to ehtiraman uTh hi jata hun
janab-e-shaiKH ka baqi hai dil mein ehtiram ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.