sukut-e-jism ka ehsas jis paikar pe rakkha tha
sukūt-e-jism kā ehsās jis paikar pe rakkhā thā
darīñ-asnā vo jism-e-ḳhāk ik mehvar pe rakkhā thā
bahut mānūs sī lagne lagī vo lams kī hiddat
larazte haath ko maiñ ne jab us ke dar pe rakkhā thā
haqīqat kyā 'ayāñ hotī kisī tasvīr-e-‘aksī se
vo ik jhūTā nazāra thā vo jis manzar pe rakkhā thā
yaqīñ mohkam thā vo hai be-hisī kī mūrtī lekin
ye sar phir bhī 'aqīdat se usī patthar pe rakkhā thā
chhalak jaanā thā āñkhoñ se lahū merī kahānī par
mire maazī kā har lamha kisī ḳhanjar pe rakkhā thā
jab us ko dekhnī thī bhiiḌ meñ bāzār kī raunaq
tab us bachche ne ghar kā bojh apne sar pe rakkhā thā
sukut-e-jism ka ehsas jis paikar pe rakkha tha
darin-asna wo jism-e-KHak ek mehwar pe rakkha tha
bahut manus si lagne lagi wo lams ki hiddat
larazte hath ko main ne jab us ke dar pe rakkha tha
haqiqat kya 'ayan hoti kisi taswir-e-‘aksi se
wo ek jhuTa nazara tha wo jis manzar pe rakkha tha
yaqin mohkam tha wo hai be-hisi ki murti lekin
ye sar phir bhi 'aqidat se usi patthar pe rakkha tha
chhalak jaana tha aankhon se lahu meri kahani par
mere mazi ka har lamha kisi KHanjar pe rakkha tha
jab us ko dekhni thi bhiD mein bazar ki raunaq
tab us bachche ne ghar ka bojh apne sar pe rakkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.