sukut-e-shab hai nihaal-e-guman sanbhaale hue
sukūt-e-shab hai nihāl-e-gumāñ sañbhāle hue
varaq-varaq hai koī dāstāñ sañbhāle hue
falak kī gardisheñ āvāz de rahī haiñ mujhe
na jaane kab se haiñ tasvīr-e-jāñ sañbhāle hue
ye kaun mujh se nikal kar abhī farār huā
ye kaun mujh meñ hai tīr-o-kamāñ sañbhāle hue
tirā vajūd hai āsāñ magar ye mushkil hai
ki merī zaat hai sūd-o-ziyāñ sañbhāle hue
shafaq ke paar kahīñ jā ke ab bikharne de
ki TūTtā hai badan imtihāñ sañbhāle hue
na koī dard hai dard-e-nihāñ se milte hue
na hai duā koī merā jahāñ sañbhāle hue
na koī rang hai aks-e-safar pe jamtā huā
na koī ḳhvāb hai chashm-e-garāñ sañbhāle hue
bas ek rang hai rang-e-safar se haTtā huā
bas ik kiran hai karāñ-tā-karāñ sañbhāle hue
hamāre dasht-e-talab se sabā-ḳhirām gayā
vo apnī nok-e-palak par jahāñ sañbhāle hue
ye jaan kab se hai us kī navā ke zaḳhm liye
ye sar hai kab se koī āsmāñ sañbhāle hue
kaho ye 'ramz' se 'ajmal' kī bhī ġhazal sun le
vahī to hai tirā soz-e-nihāñ sañbhāle hue
sukut-e-shab hai nihaal-e-guman sanbhaale hue
waraq-waraq hai koi dastan sanbhaale hue
falak ki gardishen aawaz de rahi hain mujhe
na jaane kab se hain taswir-e-jaan sanbhaale hue
ye kaun mujh se nikal kar abhi farar hua
ye kaun mujh mein hai tir-o-kaman sanbhaale hue
tera wajud hai aasan magar ye mushkil hai
ki meri zat hai sud-o-ziyan sanbhaale hue
shafaq ke par kahin ja ke ab bikharne de
ki TuTta hai badan imtihan sanbhaale hue
na koi dard hai dard-e-nihan se milte hue
na hai dua koi mera jahan sanbhaale hue
na koi rang hai aks-e-safar pe jamta hua
na koi KHwab hai chashm-e-garan sanbhaale hue
bas ek rang hai rang-e-safar se haTta hua
bas ek kiran hai karan-ta-karan sanbhaale hue
hamare dasht-e-talab se saba-KHiram gaya
wo apni nok-e-palak par jahan sanbhaale hue
ye jaan kab se hai us ki nawa ke zaKHm liye
ye sar hai kab se koi aasman sanbhaale hue
kaho ye 'ramz' se 'ajmal' ki bhi ghazal sun le
wahi to hai tera soz-e-nihan sanbhaale hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.