sukut-e-shab mein andheron ko muskurane de
Interesting Fact
1969
sukūt-e-shab meñ añdheroñ ko muskurāne de
bujhe charāġh to phir jism-o-jāñ jalāne de
dukhoñ ke ḳhvāb-numā nīm-vā darīchoñ meñ
vafūr-e-karb se tāroñ ko jhilmilāne de
jalānā chāhe agar chāhatoñ kā sūraj bhī
badan ke shahr ko is dhuup meñ jalāne de
tū apne sañg-numā ruuh ke safīne ko
ġham-e-vafā ke samundar meñ Duub jaane de
mire vajūd meñ kāñToñ kā ek jangal hai
vo apnī zaat ke phūloñ meñ kyuuñ samāne de
kise ḳhabar hai ki ham donoñ apne qātil haiñ
jo be-ḳhabar haiñ unheñ chīḳh kar batāne de
huuñ muntazir ki koī aaj aane vaalā hai
ba-qadr-e-zauq dar-o-bām ko sajāne de
guzarte lamhoñ ke hamrāh TūTtā hai badan
visāl-e-yār kī lazzat kā baar uThāne de
maiñ pattharoñ kī tarah chup nahīñ ai tesha-ba-dast
vo aur hogā tujhe zarb jo lagāne de
jab apne paañv meñ zanjīr paḌ ga.ī hai to phir
chalā to jaatā nahīñ gard hī uḌāne de
bhaTak rahā huuñ bagūloñ ke rañg meñ 'naqqāsh'
badan to ḳhaak huā ruuh bhī jalāne de
sukut-e-shab mein andheron ko muskurane de
bujhe charagh to phir jism-o-jaan jalane de
dukhon ke KHwab-numa nim-wa darichon mein
wafur-e-karb se taron ko jhilmilane de
jalana chahe agar chahaton ka suraj bhi
badan ke shahr ko is dhup mein jalane de
tu apne sang-numa ruh ke safine ko
gham-e-wafa ke samundar mein Dub jaane de
mere wajud mein kanTon ka ek jangal hai
wo apni zat ke phulon mein kyun samane de
kise KHabar hai ki hum donon apne qatil hain
jo be-KHabar hain unhen chiKH kar batane de
hun muntazir ki koi aaj aane wala hai
ba-qadr-e-zauq dar-o-baam ko sajaane de
guzarte lamhon ke hamrah TuTta hai badan
visal-e-yar ki lazzat ka bar uThane de
main pattharon ki tarah chup nahin ai tesha-ba-dast
wo aur hoga tujhe zarb jo lagane de
jab apne panw mein zanjir paD gai hai to phir
chala to jata nahin gard hi uDane de
bhaTak raha hun bagulon ke rang mein 'naqqash'
badan to KHak hua ruh bhi jalane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.