sukut-e-shab tere sine se wo sada nikle
sukūt-e-shab tire siine se vo sadā nikle
ki qudsiyoñ ke laboñ se bhī rabbanā nikle
karishma-sāz kabhī sub.h kī safedī meñ
dar-e-shafaq se koī rang to nayā nikle
kuchh is liye bhī tujhe ek Tuk maiñ taktā huuñ
tire badan se mohabbat kā zāviya nikle
majāl kyā ki koī naqsh ho bayāñ meñ tire
tirī zabāñ se to har lafz hī bajā nikle
ye 'ishq husn se kab tak fareb khā.egā
ki bach nikalne kā koī to rāsta nikle
ai gard-bād-e-safar tujh pe jaañ nisār ki ham
kahāñ se nikle the aur ab kahāñ pe aa nikle
tū ab 'navāz' kī bātoñ pe kaan mat dhariyo
ki vajd-o-hāl meñ kyā jaane muñh se kyā nikle
sukut-e-shab tere sine se wo sada nikle
ki qudsiyon ke labon se bhi rabbana nikle
karishma-saz kabhi subh ki safedi mein
dar-e-shafaq se koi rang to naya nikle
kuchh is liye bhi tujhe ek Tuk main takta hun
tere badan se mohabbat ka zawiya nikle
majal kya ki koi naqsh ho bayan mein tere
teri zaban se to har lafz hi baja nikle
ye 'ishq husn se kab tak fareb khaega
ki bach nikalne ka koi to rasta nikle
ai gard-baad-e-safar tujh pe jaan nisar ki hum
kahan se nikle the aur ab kahan pe aa nikle
tu ab 'nawaz' ki baaton pe kan mat dhariyo
ki wajd-o-haal mein kya jaane munh se kya nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.