sukut kab se lab-e-shauq par hai kya kahiye
sukūt kab se lab-e-shauq par hai kyā kahiye
ki dushman apnā hī zauq-e-nazar hai kyā kahiye
ye kis ke ġham meñ ravāñ chashm-e-tar hai kyā kahiye
har ashk daulat-e-barq-o-sharar hai kyā kahiye
ġham-e-ma.āl-e-mohabbat are ma.āz-allāh
charāġh-e-shām ko ḳhauf-e-sahar hai kyā kahiye
sañvar to jaa.eñ zamāne ke pech-o-ḳham lekin
phirī phirī sī tumhārī nazar hai kyā kahiye
diyā gayā jise rañgīnī-e-bahār kā naam
ye sab hamārā hī ḳhūn-e-jigar hai kyā kahiye
tirī nigāh ki hai chāra-sāz aalam kī
hamāre vāste kyoñ neshtar hai kyā kahiye
chaman meñ apnā nasheman kise aziiz nahīñ
kahe jo barq ki ye apnā ghar hai kyā kahiye
har ek saañs hai gum zindagī kī manzil meñ
ḳhamosh yuuñ haiñ ki rāh-e-safar hai kyā kahiye
khulegī aañkh koī din meñ ham-safīroñ kī
na.ī na.ī havas-e-bāl-o-par hai kyā kahiye
samajh rahī hai hameñ us kā ham-nashīñ duniyā
vo ham se duur magar kis qadar hai kyā kahiye
dayār-e-dil se to ab tak nikal rahā hai dhuāñ
nigāh-e-nāz kā ruḳh ab kidhar hai kyā kahiye
tumhāre zauq ko har roz taaza afsāne
zabān-e-ishq yahāñ muḳhtasar hai kyā kahiye
sukut kab se lab-e-shauq par hai kya kahiye
ki dushman apna hi zauq-e-nazar hai kya kahiye
ye kis ke gham mein rawan chashm-e-tar hai kya kahiye
har ashk daulat-e-barq-o-sharar hai kya kahiye
gham-e-maal-e-mohabbat are maaz-allah
charagh-e-sham ko KHauf-e-sahar hai kya kahiye
sanwar to jaen zamane ke pech-o-KHam lekin
phiri phiri si tumhaari nazar hai kya kahiye
diya gaya jise rangini-e-bahaar ka nam
ye sab hamara hi KHun-e-jigar hai kya kahiye
teri nigah ki hai chaara-saz aalam ki
hamare waste kyon neshtar hai kya kahiye
chaman mein apna nasheman kise aziz nahin
kahe jo barq ki ye apna ghar hai kya kahiye
har ek sans hai gum zindagi ki manzil mein
KHamosh yun hain ki rah-e-safar hai kya kahiye
khulegi aankh koi din mein ham-safiron ki
nai nai hawas-e-baal-o-par hai kya kahiye
samajh rahi hai hamein us ka ham-nashin duniya
wo hum se dur magar kis qadar hai kya kahiye
dayar-e-dil se to ab tak nikal raha hai dhuan
nigah-e-naz ka ruKH ab kidhar hai kya kahiye
tumhaare zauq ko har roz taza afsane
zaban-e-ishq yahan muKHtasar hai kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.