sulag rahi hai nazar sham ke dhundalke mein
sulag rahī hai nazar shaam ke dhuñdalke meñ
koī to aa.e idhar shaam ke dhuñdalke meñ
guzarne vāloñ ko hasrat se dekhne vaalā
ye maiñ huuñ yā ki shajar shaam ke dhuñdalke meñ
sitāre TuuT ke dāman meñ aa nahīñ sakte
koī gumān na kar shaam ke dhuñdalke meñ
talāsh thī mujhe duniyā kī dhuup meñ jis kī
milā vo saaya magar shaam ke dhuñdalke meñ
tire ḳhayāl meñ Duubā to maiñ ne kyā dekhā
ufuq ufuq hai sahar shaam ke dhuñdalke meñ
koī charāġh-ba-kaf aa rahā hai merī taraf
ye ḳhvāb hai ki ḳhabar shaam ke dhuñdalke meñ
sulag rahi hai nazar sham ke dhundalke mein
koi to aae idhar sham ke dhundalke mein
guzarne walon ko hasrat se dekhne wala
ye main hun ya ki shajar sham ke dhundalke mein
sitare TuT ke daman mein aa nahin sakte
koi guman na kar sham ke dhundalke mein
talash thi mujhe duniya ki dhup mein jis ki
mila wo saya magar sham ke dhundalke mein
tere KHayal mein Duba to main ne kya dekha
ufuq ufuq hai sahar sham ke dhundalke mein
koi charagh-ba-kaf aa raha hai meri taraf
ye KHwab hai ki KHabar sham ke dhundalke mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.