sulag uThe mere mausam ye kya kiya tu ne
sulag uThe mire mausam ye kyā kiyā tū ne
guloñ pe jal ga.ī shabnam ye kyā kiyā tū ne
zamīñ nahīñ hai faqat sogvār is ġham kī
falak pe chhā gayā mātam ye kyā kiyā tū ne
nayan to suukh ga.e dard kī tapish pā kar
nazar se risne lagā ġham ye kyā kiyā tū ne
rahā na yaad tere ba.ad koī is dil ko
ki sab ko bhuul ga.e ham ye kyā kiyā tū ne
ghaTā rahā thā tujhe apnī zaat se lekin
maiñ ḳhud bhī hone lagā kam ye kyā kiyā tū ne
phir is ke ba.ad kabhī ā.īne ke aage bhī
nazar uThā sake na ham ye kyā kiyā tū ne
vo shaḳhs chāhtā thā umr bhar rahe mujh meñ
jo mujh meñ toḌ gayā dam ye kyā kiyā tū ne
mirī hayāt mirī zaat merī ummīdeñ
sisaktī rahtī haiñ paiham ye kyā kiyā tū ne
sulag uThe mere mausam ye kya kiya tu ne
gulon pe jal gai shabnam ye kya kiya tu ne
zamin nahin hai faqat sogwar is gham ki
falak pe chha gaya matam ye kya kiya tu ne
nayan to sukh gae dard ki tapish pa kar
nazar se risne laga gham ye kya kiya tu ne
raha na yaad tere baad koi is dil ko
ki sab ko bhul gae hum ye kya kiya tu ne
ghaTa raha tha tujhe apni zat se lekin
main KHud bhi hone laga kam ye kya kiya tu ne
phir is ke baad kabhi aaine ke aage bhi
nazar uTha sake na hum ye kya kiya tu ne
wo shaKHs chahta tha umr bhar rahe mujh mein
jo mujh mein toD gaya dam ye kya kiya tu ne
meri hayat meri zat meri ummiden
sisakti rahti hain paiham ye kya kiya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.