sulagti aankhon mein mahfil jama ke chhoD gaya
sulagtī āñkhoñ meñ mahfil jamā ke chhoḌ gayā
ajiib ḳhvāb thā mujh ko jagā ke chhoḌ gayā
hamārī pastī-e-dīvār ko hai us se gila
havā kī zad pe diyā kyoñ jalā ke chhoḌ gayā
ajiib shaḳhs thā aaya to ek aalam thā
gayā to sab ko tamāshā banā ke chhoḌ gayā
maiñ ghar se dasht-e-junūñ ke safar pe niklā thā
to phir ye kaun tire dar pe lā ke chhoḌ gayā
hameñ ki hadiya-e-jāñ nazr-e-dost karnā thā
junūn-e-shauq sar-e-dār lā ke chhoḌ gayā
sulagti aankhon mein mahfil jama ke chhoD gaya
ajib KHwab tha mujh ko jaga ke chhoD gaya
hamari pasti-e-diwar ko hai us se gila
hawa ki zad pe diya kyon jala ke chhoD gaya
ajib shaKHs tha aaya to ek aalam tha
gaya to sab ko tamasha bana ke chhoD gaya
main ghar se dasht-e-junun ke safar pe nikla tha
to phir ye kaun tere dar pe la ke chhoD gaya
hamein ki hadiya-e-jaan nazr-e-dost karna tha
junun-e-shauq sar-e-dar la ke chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.