sulagti aankhon ne ashkon se dosti kar li
sulagtī āñkhoñ ne ashkoñ se dostī kar lī
hamāre ḳhvāboñ ne kal raat ḳhud-kushī kar lī
har ek samt thā tūfāñ bhañvar meñ thī kashtī
aur is pe ham ne kināroñ se dushmanī kar lī
añdherī raat thī ghar meñ koī charāġh na thā
jalā ke apnā hī dil ham ne raushnī kar lī
hamāre lab abhī tishna haiñ guftugū ke liye
agarche ham ne nigāhoñ se baat bhī kar lī
yaqīn ḳhud ko nahīñ hai magar haqīqat hai
tire baġhair basar ham ne zindagī kar lī
tumhāre dam se thiiñ gulshan meñ raunaqeñ saarī
tumhāre baa'd bahāroñ ne ḳhud-kushī kar lī
vo dard ban ke hamesha hamāre dil meñ rahā
jab had se dard baḌhā ham ne shā.erī kar lī
Thikāna DhūñD rahe haiñ parinde phir koī
shajar ne tund havāoñ se dostī kar lī
'fahīm' us kī nigāheñ haiñ jhiil kī mānind
ham un meñ kuud ga.e aur shanāvarī kar lī
sulagti aankhon ne ashkon se dosti kar li
hamare KHwabon ne kal raat KHud-kushi kar li
har ek samt tha tufan bhanwar mein thi kashti
aur is pe hum ne kinaron se dushmani kar li
andheri raat thi ghar mein koi charagh na tha
jala ke apna hi dil hum ne raushni kar li
hamare lab abhi tishna hain guftugu ke liye
agarche hum ne nigahon se baat bhi kar li
yaqin KHud ko nahin hai magar haqiqat hai
tere baghair basar hum ne zindagi kar li
tumhaare dam se thin gulshan mein raunaqen sari
tumhaare ba'd bahaaron ne KHud-kushi kar li
wo dard ban ke hamesha hamare dil mein raha
jab had se dard baDha hum ne shaeri kar li
Thikana DhunD rahe hain parinde phir koi
shajar ne tund hawaon se dosti kar li
'fahim' us ki nigahen hain jhil ki manind
hum un mein kud gae aur shanawari kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.