sulagti dhup mein har saeban de chuka hun
sulagtī dhuup meñ har sā.ebān de chukā huuñ
maiñ is zamīñ ko ka.ī āsmān de chukā huuñ
vo tere ishq kā ho yā tirī judā.ī kā
isī hayāt meñ sab imtihān de chukā huuñ
tū dil-nashīñ hai vafādār hai zahīn bhī hai
magar maiñ aur kisī ko zabān de chukā huuñ
mirī zabān pe taalā lagāne vaale suneñ
maiñ apnī āñkhoñ se apnā bayān de chukā huuñ
vo aadmī mujhe bechainiyāñ pilā rahā hai
jise sukhoñ kā maiñ saarā jahān de chukā huuñ
mire vajūd ko miTTī kī shakl dī jis ne
ye miTTī maiñ usī miTTī ko daan de chukā huuñ
mujhe bhulā.eñge vo 'faiz' kis tarah āḳhir
vo jin laboñ ko maiñ apne nishān de chukā huuñ
sulagti dhup mein har saeban de chuka hun
main is zamin ko kai aasman de chuka hun
wo tere ishq ka ho ya teri judai ka
isi hayat mein sab imtihan de chuka hun
tu dil-nashin hai wafadar hai zahin bhi hai
magar main aur kisi ko zaban de chuka hun
meri zaban pe tala lagane wale sunen
main apni aankhon se apna bayan de chuka hun
wo aadmi mujhe bechainiyan pila raha hai
jise sukhon ka main sara jahan de chuka hun
mere wajud ko miTTi ki shakl di jis ne
ye miTTi main usi miTTi ko dan de chuka hun
mujhe bhulaenge wo 'faiz' kis tarah aaKHir
wo jin labon ko main apne nishan de chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.