sulagti dhup thi dasht-o-jabal the banjar the
sulagtī dhuup thī dasht-o-jabal the banjar the
jahāñ jahāñ se bhī guzre ajiib manzar the
jo maañ kī kokh se nikle tirī talāsh rahī
lahad nasīb huī jab bhī tere ḳhūgar the
badal chukī hai achānak harārat-e-arzī
javālā phuuT rahe haiñ jahāñ samundar the
sarāb jaise guzārī hai zindagī ham ne
ki duur hī se lubhāne meñ ham hunar-var the
na but tarāshe na puuje na toḌ Daale magar
kisī bhī shahr meñ aa.e ba-shakl-e-āzar the
hamārī maut se pahle hī kitne logoñ ne
hamāre baare meñ likkhā thā ham gadāgar the
maiñ jin ke biich meñ leTā thā be-his-o-harakat
luTe-piTe the musāfir kaTe hue sar the
vo din ki maañ kī du'ā.eñ panāh thiiñ 'īraj'
kañval the raat kī raanī the ham gul-e-tar the
sulagti dhup thi dasht-o-jabal the banjar the
jahan jahan se bhi guzre ajib manzar the
jo man ki kokh se nikle teri talash rahi
lahad nasib hui jab bhi tere KHugar the
badal chuki hai achanak hararat-e-arzi
jawala phuT rahe hain jahan samundar the
sarab jaise guzari hai zindagi hum ne
ki dur hi se lubhane mein hum hunar-war the
na but tarashe na puje na toD Dale magar
kisi bhi shahr mein aae ba-shakl-e-azar the
hamari maut se pahle hi kitne logon ne
hamare bare mein likkha tha hum gadagar the
main jin ke bich mein leTa tha be-his-o-harakat
luTe-piTe the musafir kaTe hue sar the
wo din ki man ki du'aen panah thin 'iraj'
kanwal the raat ki rani the hum gul-e-tar the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.