sulagti hai chita lamhat ki aahista aahista
sulagtī hai chitā lamhāt kī āhista āhista
savārī jā rahī hai raat kī āhista āhista
ḳhudā ma.alūm tum pahlū meñ baiThe ho ki parchhā.īñ
ubhartī hai mire jazbāt kī āhista āhista
musalsal shor-e-āhan girya-e-ġham pesh haiñ phir bhī
suno vo dhun kahīñ naġhmāt kī āhista āhista
har ik ne us meñ apnī dāstān-e-dard paa.ī hai
vahī ham tum ne kal jo baat kī āhista āhista
mirī vahshat sahārā de sahārā de mujhe varna
miTā degī ye rut barsāt kī āhista āhista
sulagti hai chita lamhat ki aahista aahista
sawari ja rahi hai raat ki aahista aahista
KHuda malum tum pahlu mein baiThe ho ki parchhain
ubharti hai mere jazbaat ki aahista aahista
musalsal shor-e-ahan girya-e-gham pesh hain phir bhi
suno wo dhun kahin naghmat ki aahista aahista
har ek ne us mein apni dastan-e-dard pai hai
wahi hum tum ne kal jo baat ki aahista aahista
meri wahshat sahaara de sahaara de mujhe warna
miTa degi ye rut barsat ki aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.