sulagti KHwahishon tale hamare dil ka haal kya
sulagtī ḳhvāhishoñ tale hamāre dil kā haal kyā
dhuāñ dhuāñ ho zindagī to ziist kā ma.aal kyā
chalā jo qatl-gāh ko vo zer-e-lab hañsī liye
thī kaifiyat ye jazb meñ to ḳhauf kā savāl kyā
na us kī misl hai koī jamāl-e-lā-zavāl meñ
nihāñ hai andarūñ meñ vo to aur kī misāl kyā
zamīñ falak havā pahāḌ raunaq-e-hayāt haiñ
jihat jihat hai be-misāl ḳhalq kā kamāl kyā
suno milā nahīñ ḳhudā kabhī munāzra se bhī
fuzūl bahs kyā ho ab mazīd qīl-o-qāl kyā
yaqīñ kā phuul khil gayā to ruuh bhī sañvar ga.ī
ḳhizāñ kī jab havā chalī to qalb kā jamāl kyā
sulagti KHwahishon tale hamare dil ka haal kya
dhuan dhuan ho zindagi to zist ka maal kya
chala jo qatl-gah ko wo zer-e-lab hansi liye
thi kaifiyat ye jazb mein to KHauf ka sawal kya
na us ki misl hai koi jamal-e-la-zawal mein
nihan hai andarun mein wo to aur ki misal kya
zamin falak hawa pahaD raunaq-e-hayat hain
jihat jihat hai be-misal KHalq ka kamal kya
suno mila nahin KHuda kabhi munazra se bhi
fuzul bahs kya ho ab mazid qil-o-qal kya
yaqin ka phul khil gaya to ruh bhi sanwar gai
KHizan ki jab hawa chali to qalb ka jamal kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.