sulagti ret pe KHema laga ke dekha hai
sulagtī ret pe ḳhema lagā ke dekhā hai
hamīñ ne dasht ko maskan banā ke dekhā hai
hamāre sher tumheñ kis tarah samajh aa.eñ
hamārā haal kahāñ tum ne aa ke dekhā hai
kuchh is tarah se bitā.ī haiñ hijr kī rāteñ
ke jaise mausam-e-garmā bitā ke dekhā hai
vahī batā.egā umr-e-hayāt kitnī hai
vo jis ne ret pe chehra banā ke dekhā hai
unheñ thā shauq-e-masīhā.ī ham bhī āshiq the
so ham ne apnā galā bhī kaTā ke dekhā hai
sunā thā ishq meñ hai sabr lāzim-o-malzūm
to intizār bhī palkeñ bichhā ke dekhā hai
hamārī āñkheñ kaheñgī na jaane kab ham se
kisī ne aaj hameñ muskurā ke dekhā hai
hamāre sar pe thā ilzām be-vafā.ī kā
so apne aap ko apnā banā ke dekhā hai
ta'alluqāt meñ aane lagī kamī 'hānī'
ta.assubāt ne kyā sar uThā ke dekhā hai
sulagti ret pe KHema laga ke dekha hai
hamin ne dasht ko maskan bana ke dekha hai
hamare sher tumhein kis tarah samajh aaen
hamara haal kahan tum ne aa ke dekha hai
kuchh is tarah se bitai hain hijr ki raaten
ke jaise mausam-e-garma bita ke dekha hai
wahi bataega umr-e-hayat kitni hai
wo jis ne ret pe chehra bana ke dekha hai
unhen tha shauq-e-masihai hum bhi aashiq the
so hum ne apna gala bhi kaTa ke dekha hai
suna tha ishq mein hai sabr lazim-o-malzum
to intizar bhi palken bichha ke dekha hai
hamari aankhen kahengi na jaane kab hum se
kisi ne aaj hamein muskura ke dekha hai
hamare sar pe tha ilzam be-wafai ka
so apne aap ko apna bana ke dekha hai
ta'alluqat mein aane lagi kami 'hani'
tassubaat ne kya sar uTha ke dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.