sulagti shab ka pur-asrar manzar jagta hoga
sulagtī shab kā pur-asrār manzar jāgtā hogā
makīñ ḳhvāboñ meñ gum hoñge magar ghar jāgtā hogā
jo mumkin ho to pathrīlī chaTāneñ toḌ kar dekho
mire andar baḌā gahrā samandar jāgtā hogā
kiyā pathrāv jin hāthoñ ne mujh par so chuke hoñge
magar ik ek ḳhūñ-ālūda patthar jāgtā hogā
sisakte shahr meñ kuchh ūñghtī parchhā.iyāñ hoñgī
mu’allaq hai ḳhalāoñ meñ jo ḳhanjar jāgtā hogā
kise tum DhūñDte 'hāmid' ho in vīrān saḌkoñ par
chalo raushan mahal kī samt 'aḳhtar' jāgtā hogā
sulagti shab ka pur-asrar manzar jagta hoga
makin KHwabon mein gum honge magar ghar jagta hoga
jo mumkin ho to pathrili chaTanen toD kar dekho
mere andar baDa gahra samandar jagta hoga
kiya pathraw jin hathon ne mujh par so chuke honge
magar ek ek KHun-aluda patthar jagta hoga
sisakte shahr mein kuchh unghti parchhaiyan hongi
mu’allaq hai KHalaon mein jo KHanjar jagta hoga
kise tum DhunDte 'hamid' ho in viran saDkon par
chalo raushan mahal ki samt 'aKHtar' jagta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.