sulh ki had tak sitamgar aa gaya
sulh kī had tak sitamgar aa gayā
aa.ine kī zad meñ patthar aa gayā
aag to sulgī thī dāman ke qarīb
āstīñ kā saañp bāhar aa gayā
teġh meñ thī jis ke dam se āb-o-tāb
teġh kī zad meñ vahī sar aa gayā
dariyā dariyā paar honā thā mujhe
biich meñ koī samundar aa gayā
dhuup meñ chalne kī aadat hai mujhe
Dhal ga.ī jab dhuup to ghar aa gayā
sulh ki had tak sitamgar aa gaya
aaine ki zad mein patthar aa gaya
aag to sulgi thi daman ke qarib
aastin ka sanp bahar aa gaya
tegh mein thi jis ke dam se aab-o-tab
tegh ki zad mein wahi sar aa gaya
dariya dariya par hona tha mujhe
bich mein koi samundar aa gaya
dhup mein chalne ki aadat hai mujhe
Dhal gai jab dhup to ghar aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.