suluk-e-dost se bezar kya hua hun main
sulūk-e-dost se bezār kyā huā huuñ maiñ
ḳhayāl ye hai bulandī se gir gayā huuñ maiñ
badalte vaqt ne har chiiz ko badal Daalā
ḳhulūs vaisā kahāñ hai jo sochtā huuñ maiñ
mujhe lagā hai ki tahlīl ho gayā hai vajūd
kabhī jab un ke ḳhayāloñ meñ kho gayā huuñ maiñ
mohabbatoñ kā hasīñ daur aane vaalā hai
ye ruḳh bhī un kī adāvat kā dekhtā huuñ maiñ
mire shu.ūr meñ māhaul kī hai bechainī
navā-e-vaqt huuñ ik dard kī sadā huuñ maiñ
shikāyatoñ meñ gañvāne se us ko kyā hāsil
zarā sā vaqt milā hai to aa gayā huuñ maiñ
rah-e-hayāt ke har moḌ par ye lagtā hai
fareb-kār kī bātoñ meñ aa gayā huuñ maiñ
ab apnī ziist kī taptī huī sī rāhoñ par
kisī daraḳht ke saa.e ko DhūñDhtā huuñ maiñ
mujhe ye tarz-e-tajāhul ajiib lagtā hai
vo kah rahe haiñ kahīñ aap se milā huuñ maiñ
suluk-e-dost se bezar kya hua hun main
KHayal ye hai bulandi se gir gaya hun main
badalte waqt ne har chiz ko badal Dala
KHulus waisa kahan hai jo sochta hun main
mujhe laga hai ki tahlil ho gaya hai wajud
kabhi jab un ke KHayalon mein kho gaya hun main
mohabbaton ka hasin daur aane wala hai
ye ruKH bhi un ki adawat ka dekhta hun main
mere shuur mein mahaul ki hai bechaini
nawa-e-waqt hun ek dard ki sada hun main
shikayaton mein ganwane se us ko kya hasil
zara sa waqt mila hai to aa gaya hun main
rah-e-hayat ke har moD par ye lagta hai
fareb-kar ki baaton mein aa gaya hun main
ab apni zist ki tapti hui si rahon par
kisi daraKHt ke sae ko DhunDhta hun main
mujhe ye tarz-e-tajahul ajib lagta hai
wo kah rahe hain kahin aap se mila hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.