suluk usne mohabbat mein ajab mujhse rawa rakkha
sulūk us ne mohabbat meñ 'ajab mujh se ravā rakkhā
hamesha mere apne darmiyāñ ik fāsla rakkhā
tumhāre paas aate hī jalā diiñ kashtiyāñ saarī
ki maiñ ne lauT jaane kā na koī rāsta rakkhā
tumhāre pyaar meñ ab aur kitnī darguzar kartī
tumhārī har jafā kā naam maiñ ne ik adā rakkhā
tumhāre bin rahe suune ye mere bām-o-dar kitne
na aa.e tum magar maiñ ne to darvāza khulā rakkhā
tavaqqo' aur se kyoñ ho mujhe hājat-ravā.ī kī
ḳhudā ke sāmne phailā ke jab dast-e-du'ā rakkhā
na thā kuchh rabt hī shāyad tire dil kā mire dil se
na lauTe tum na tum ne mujh se koī rābta rakkhā
havā kā dekhnā maqsūd mujh ko zarf hai 'azrā'
havā ke dosh par maiñ ne jalā kar ik diyā rakkhā
suluk us ne mohabbat mein 'ajab mujh se rawa rakkha
hamesha mere apne darmiyan ek fasla rakkha
tumhaare pas aate hi jala din kashtiyan sari
ki main ne lauT jaane ka na koi rasta rakkha
tumhaare pyar mein ab aur kitni darguzar karti
tumhaari har jafa ka nam main ne ek ada rakkha
tumhaare bin rahe sune ye mere baam-o-dar kitne
na aae tum magar main ne to darwaza khula rakkha
tawaqqo' aur se kyon ho mujhe hajat-rawai ki
KHuda ke samne phaila ke jab dast-e-du'a rakkha
na tha kuchh rabt hi shayad tere dil ka mere dil se
na lauTe tum na tum ne mujh se koi rabta rakkha
hawa ka dekhna maqsud mujh ko zarf hai 'azra'
hawa ke dosh par main ne jala kar ek diya rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.