sun ke bhi meri sada kya karta
sun ke bhī merī sadā kyā kartā
vo to patthar hai vafā kyā kartā
vaqt kī chīḳh pe āñkheñ na khulīñ
sard ehsās bhalā kyā kartā
har qadam par thī havā kī yūrish
ek tanhā sā diyā kyā kartā
mujh se qurbat hī nahīñ thī us ko
pūchh kar haal mirā kyā kartā
jis ko jiine kī tamanna hī na thī
zindagī le ke batā kyā kartā
naav sāhil hī pe Duubī hai 'alīm'
thā muqaddar meñ likhā kyā kartā
sun ke bhi meri sada kya karta
wo to patthar hai wafa kya karta
waqt ki chiKH pe aankhen na khulin
sard ehsas bhala kya karta
har qadam par thi hawa ki yurish
ek tanha sa diya kya karta
mujh se qurbat hi nahin thi us ko
puchh kar haal mera kya karta
jis ko jine ki tamanna hi na thi
zindagi le ke bata kya karta
naw sahil hi pe Dubi hai 'alim'
tha muqaddar mein likha kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.