sun raha hun qurbaton mein fasla hone ko hai
sun rahā huuñ qurbatoñ meñ fāsla hone ko hai
is qadar to ho gayā ab aur kyā hone ko hai
jaane kyoñ āñkhoñ meñ aañsū aa rahe haiñ der se
aaj phir shāyad koī mujh se judā hone ko hai
shahr kyoñ sunsān hai vīrān kyoñ haiñ rāste
ho chukā hai hādisa yā hādisa hone ko hai
har taraf nā're lagā.e jā rahe haiñ inqilāb
aisā lagtā hai ki phir mahshar bapā hone ko hai
har taraf lāsheñ haiñ 'anjum' har galī hai sogvār
aur kyā is sarzamīñ par karbalā hone ko hai
sun raha hun qurbaton mein fasla hone ko hai
is qadar to ho gaya ab aur kya hone ko hai
jaane kyon aankhon mein aansu aa rahe hain der se
aaj phir shayad koi mujh se juda hone ko hai
shahr kyon sunsan hai viran kyon hain raste
ho chuka hai hadisa ya hadisa hone ko hai
har taraf na're lagae ja rahe hain inqilab
aisa lagta hai ki phir mahshar bapa hone ko hai
har taraf lashen hain 'anjum' har gali hai sogwar
aur kya is sarzamin par karbala hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.