sun sunata hun ek kahani sun
sun sunātā huuñ ik kahānī sun
de ga.ī jul mujhe javānī sun
hai ridā tere paas to de de
sar barahna hai zindagānī sun
mausam-e-gul meñ dekh jaltā chaman
andalīboñ kī nauha-ḳhvānī sun
shahr kā haal in dinoñ kyā hai
mere har zaḳhm kī zabānī sun
sansanī-ḳhez sansanāhaT meñ
sun havāoñ kī ḳhush-bayānī sun
ḳhaar se gul se sabz mausam kī
dāstān-e-sharar-fishānī sun
ātishīñ kah rahā hai apne ko
chaḌhte dariyā kī lan-tarānī sun
zindagī ban ga.ī hai sanyāsan
ye ḳhabar hai bahut purānī sun
tabsira ahd pe sunātā hai
merī chhat se Tapaktā paanī sun
sun sunata hun ek kahani sun
de gai jul mujhe jawani sun
hai rida tere pas to de de
sar barahna hai zindagani sun
mausam-e-gul mein dekh jalta chaman
andalibon ki nauha-KHwani sun
shahr ka haal in dinon kya hai
mere har zaKHm ki zabani sun
sansani-KHez sansanahaT mein
sun hawaon ki KHush-bayani sun
KHar se gul se sabz mausam ki
dastan-e-sharar-fishani sun
aatishin kah raha hai apne ko
chaDhte dariya ki lan-tarani sun
zindagi ban gai hai sanyasan
ye KHabar hai bahut purani sun
tabsira ahd pe sunata hai
meri chhat se Tapakta pani sun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.