sun to sahi shikastagi jis mein bala ki hai
sun to sahī shikastagī jis meñ balā kī hai
vo bāzgasht saarī to apnī sadā kī hai
kis kis ke dil chaman meñ lahū-rang haiñ gulāb
kis kis kī ḳhaak meñ abhī ḳhushbū vafā kī hai
ye bhāg-dauḌ saarī ye hangām-e-sub.h-o-shām
ye jang jis qadar hai vo apnī baqā kī hai
dushman kī hai 'atā mirā zaḳhmoñ kā pairahan
ye ruuh par jo choT hai dast-e-vafā kī hai
mauqa' milā to vaar karegī ye bād-e-tund
jaltā huā diyā jo 'alāmat ziyā kī hai
ye kaun hai jo dard pe mere hai muztarib
laayā ye kaun habs meñ ThanDak havā kī hai
sun to sahi shikastagi jis mein bala ki hai
wo bazgasht sari to apni sada ki hai
kis kis ke dil chaman mein lahu-rang hain gulab
kis kis ki KHak mein abhi KHushbu wafa ki hai
ye bhag-dauD sari ye hangam-e-subh-o-sham
ye jang jis qadar hai wo apni baqa ki hai
dushman ki hai 'ata mera zaKHmon ka pairahan
ye ruh par jo choT hai dast-e-wafa ki hai
mauqa' mila to war karegi ye baad-e-tund
jalta hua diya jo 'alamat ziya ki hai
ye kaun hai jo dard pe mere hai muztarib
laya ye kaun habs mein ThanDak hawa ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.