suna hai ishq ke maron ko bhuk lagti hai
sunā hai ishq ke māroñ ko bhuuk lagtī hai
ki jaise uḌte parindoñ ko bhuuk lagtī hai
rakho ḳhayāl se zīnat ko Dhāñp kar apnī
badan khulā ho to āñkhoñ ko bhuuk lagtī hai
ye soch kar hī nivāle ko rakh diyā maiñ ne
shikam bharā ho to hāthoñ ko bhuuk lagtī hai
ye kis liye mire tezābiyat hai siine meñ
ye kis liye mujhe rātoñ ko bhuuk lagtī hai
raqam ho jitnī kabhī jeb bhar nahīñ paatī
tijoriyoñ meñ asāsoñ ko bhuuk lagtī hai
phir ehtimām se 'ātir' namak chhiḌaktā huuñ
jab us kī yaad ke zaḳhmoñ ko bhuuk lagtī hai
suna hai ishq ke maron ko bhuk lagti hai
ki jaise uDte parindon ko bhuk lagti hai
rakho KHayal se zinat ko Dhanp kar apni
badan khula ho to aankhon ko bhuk lagti hai
ye soch kar hi niwale ko rakh diya main ne
shikam bhara ho to hathon ko bhuk lagti hai
ye kis liye mere tezabiyat hai sine mein
ye kis liye mujhe raaton ko bhuk lagti hai
raqam ho jitni kabhi jeb bhar nahin pati
tijoriyon mein asason ko bhuk lagti hai
phir ehtimam se 'atir' namak chhiDakta hun
jab us ki yaad ke zaKHmon ko bhuk lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.