suna hai jab se KHuda ka kalam rahat hai
sunā hai jab se ḳhudā kā kalām rāhat hai
har ek dars kā mauzū'-e-ām rāhat hai
kudūratoñ se kashā.ish milā nahīñ kartī
jahān bhar ko hamārā payām rāhat hai
maiñ iḳhtiyār ke hote hue kahāñ ḳhush thā
huā huuñ jab se kisī kā ġhulām rāhat hai
maiñ dasht-o-shahr-o-gulistāñ meñ be-sukūn rahā
kiyā hai zaat meñ jab se qayām rāhat hai
satā satā ke pareshān ho gayā hai adū
ka.ī dinoñ se hameñ sub.h-o-shām rāhat hai
ye aa rahī hai mirī samt roknā na use
subuk-ravī se jo mahv-e-ḳhirām rāhat hai
dukhe diloñ se lagāvaT se baat kar lenā
sukūn-e-dil ke liye ehtirām rāhat hai
ye qasr-e-lutf banāyā hai 'ābdī' ne magar
mohabbatoñ meñ faqat inhidām rāhat hai
suna hai jab se KHuda ka kalam rahat hai
har ek dars ka mauzu'-e-am rahat hai
kuduraton se kashaish mila nahin karti
jahan bhar ko hamara payam rahat hai
main iKHtiyar ke hote hue kahan KHush tha
hua hun jab se kisi ka ghulam rahat hai
main dasht-o-shahr-o-gulistan mein be-sukun raha
kiya hai zat mein jab se qayam rahat hai
sata sata ke pareshan ho gaya hai adu
kai dinon se hamein subh-o-sham rahat hai
ye aa rahi hai meri samt rokna na use
subuk-rawi se jo mahw-e-KHiram rahat hai
dukhe dilon se lagawaT se baat kar lena
sukun-e-dil ke liye ehtiram rahat hai
ye qasr-e-lutf banaya hai 'abdi' ne magar
mohabbaton mein faqat inhidam rahat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.