suna hai jab se ki tumko bhi gham gawara hai
sunā hai jab se ki tum ko bhī ġham gavārā hai
ḳhayāl ab hameñ apnā nahīñ tumhārā hai
kabhī jo suntā huuñ āvāz-e-bāzgasht apnī
to sochtā huuñ ki tum ne mujhe pukārā hai
kahāñ ga.ī mirī zinda-dilī maiñ kyoñ sochūñ
ye farz merā nahīñ dosto tumhārā hai
zamāne bhar ko agar gul to ham ko ḳhaar 'azīz
zamāne bhar se alag mudda'ā hamārā hai
ye raat ab yūñhī kāñToñ pe loTnā hai 'ra.īs'
ki tū ne phūloñ ke saa.e meñ din guzārā hai
suna hai jab se ki tum ko bhi gham gawara hai
KHayal ab hamein apna nahin tumhaara hai
kabhi jo sunta hun aawaz-e-bazgasht apni
to sochta hun ki tum ne mujhe pukara hai
kahan gai meri zinda-dili main kyon sochun
ye farz mera nahin dosto tumhaara hai
zamane bhar ko agar gul to hum ko KHar 'aziz
zamane bhar se alag mudda'a hamara hai
ye raat ab yunhi kanTon pe loTna hai 'rais'
ki tu ne phulon ke sae mein din guzara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.