suna hai ki tum chahte ho kisi ko kuchh ahwal apni zabani kaho to
suna hai ki tum chahte ho kisi ko kuchh ahwal apni zabani kaho to
Khar Dehlavi
MORE BYKhar Dehlavi
sunā hai ki tum chāhte ho kisī ko kuchh ahvāl apnī zabānī kaho to
ye kyā ukhḌī ukhḌī sī bāteñ haiñ sāhib ye dūbhar hai kyoñ zindagānī kaho to
suneñ ham bhī hai kaun vo māh-pāra ki is ghaaT jis ne tumheñ hai utārā
ye kis ke liye is qadar muztarib ho miTā.e ho apnī javānī kaho to
masīhā-e-daurāñ ho tum maiñ ne jaanā karo chārasāzī to ehsān mānūñ
karoge koī dard kā mere darmāñ dikhā.ūñ maiñ dāġh-e-nihānī kaho to
batātā to huuñ baat maiñ apne dil kī magar baat phir merī heTī na karnā
maiñ ḳhud.dār huuñ zabt hai merā sheva sunā.ūñ maiñ apnī kahānī kaho to
lo aao isī baat par 'ahd kar leñ hamāre hue tum tumhāre hue ham
nahīñ tum zabāñ se agar apnī phirte to phir kyoñ hai ye ānā-kānī kaho to
kahāñ āshiyāna vo apnā chaman meñ yā ab band huuñ tīliyoñ meñ qafas kī
asīrī pe apnī mujhe hai ta'ajjub magar maan luuñ daana paanī kaho to
batāo to ai 'ḳhār' kyā tum pe guzrī vo āġhāz-e-ulfat kī bāteñ huiiñ kyā
nahīñ hai vo andāz ab guftugū kā huī kyā vo sho'la-bayānī kaho to
suna hai ki tum chahte ho kisi ko kuchh ahwal apni zabani kaho to
ye kya ukhDi ukhDi si baaten hain sahib ye dubhar hai kyon zindagani kaho to
sunen hum bhi hai kaun wo mah-para ki is ghaT jis ne tumhein hai utara
ye kis ke liye is qadar muztarib ho miTae ho apni jawani kaho to
masiha-e-dauran ho tum main ne jaana karo chaarasazi to ehsan manun
karoge koi dard ka mere darman dikhaun main dagh-e-nihani kaho to
batata to hun baat main apne dil ki magar baat phir meri heTi na karna
main KHuddar hun zabt hai mera shewa sunaun main apni kahani kaho to
lo aao isi baat par 'ahd kar len hamare hue tum tumhaare hue hum
nahin tum zaban se agar apni phirte to phir kyon hai ye aana-kani kaho to
kahan aashiyana wo apna chaman mein ya ab band hun tiliyon mein qafas ki
asiri pe apni mujhe hai ta'ajjub magar man lun dana pani kaho to
batao to ai 'KHar' kya tum pe guzri wo aaghaz-e-ulfat ki baaten huin kya
nahin hai wo andaz ab guftugu ka hui kya wo sho'la-bayani kaho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.