suna hai koi to darwaza aasman mein hai
sunā hai koī to darvāza āsmān meñ hai
mire ḳhayāl kā panchhī bhī kis uḌaan meñ hai
tujhe to ai dil-e-nādāñ zarā shu.ūr nahīñ
vo tujh ko yaad karegā tū kis gumān meñ hai
bhaTak rahā huuñ maiñ bhañvre kī tarah bāġhoñ meñ
merī bahār mire ghar ke phūl-dān meñ hai
alāva is ke mujhe kuchh sunā.ī detā nahīñ
bharī huī koī āvāz mere kaan meñ hai
chalā sakā na kisī be-zabān par us ko
jo ek tiir abhī tak mirī kamān meñ hai
hai jis zabān kā charchā tamām aalam meñ
mirī ġhazal bhī to 'sābir' usī zabān meñ hai
suna hai koi to darwaza aasman mein hai
mere KHayal ka panchhi bhi kis uDan mein hai
tujhe to ai dil-e-nadan zara shuur nahin
wo tujh ko yaad karega tu kis guman mein hai
bhaTak raha hun main bhanwre ki tarah baghon mein
meri bahaar mere ghar ke phul-dan mein hai
alawa is ke mujhe kuchh sunai deta nahin
bhari hui koi aawaz mere kan mein hai
chala saka na kisi be-zaban par us ko
jo ek tir abhi tak meri kaman mein hai
hai jis zaban ka charcha tamam aalam mein
meri ghazal bhi to 'sabir' usi zaban mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.