suna hai teri zamane pe hukmarani hai
sunā hai terī zamāne pe hukmarānī hai
magar na bhuul ki do din kī zindagānī hai
chaman kī saarī bahāroñ ke tum hī mālik ho
faqat hamāre muqaddar meñ bāġhbānī hai
maiñ kaise chhoḌ duuñ ghar ko kamā.ī kī ḳhātir
maiñ ik ġharīb huuñ biTiyā mirī siyānī hai
hisār-e-behisī hargiz na toḌ pā.eñge
vo jin ko dosto sham-e-amal bujhānī hai
bahāo khul ke ġharīboñ kā be-kasoñ kā lahū
nasīb se tumheñ hāsil zar-o-javānī hai
ḳhudā kī raah pe chal kar dikhā.iye 'ġhāzī'
jo kāmyāb tumheñ zindagī banānī hai
suna hai teri zamane pe hukmarani hai
magar na bhul ki do din ki zindagani hai
chaman ki sari bahaaron ke tum hi malik ho
faqat hamare muqaddar mein baghbani hai
main kaise chhoD dun ghar ko kamai ki KHatir
main ek gharib hun biTiya meri siyani hai
hisar-e-behisi hargiz na toD paenge
wo jin ko dosto sham-e-amal bujhani hai
bahao khul ke gharibon ka be-kason ka lahu
nasib se tumhein hasil zar-o-jawani hai
KHuda ki rah pe chal kar dikhaiye 'ghazi'
jo kaamyab tumhein zindagi banani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.