suna kisi ne na girya-e-muKHtasar hamara
suna kisi ne na girya-e-muKHtasar hamara
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
sunā kisī ne na girya-e-muḳhtasar hamārā
huā hai chhalnī chhanan chhanan se jigar hamārā
ye zard vahshat hamāre bātin meñ ras ga.ī hai
tavīl muddat se ham pe haavī hai Dar hamārā
tire qabīle se jang laḌ ke shahīd hoñge
kaTā huā hī milegā tujh ko ye sar hamārā
sabhī manāzil pe jā ke vāpas palaT rahe haiñ
ki rā.egāñ jā rahā hai har ik safar hamārā
chahār jānib pahāḌ mastī se jhūmte hoñ
hasīn shādāb vādiyoñ meñ ho ghar hamārā
huī nahīñ hai kisī taraf se bhī ajnabiyyat
huā thā in jangaloñ se pahle guzar hamārā
ḳhabar milī hai vafā kī sarhad pe mar gayā hai
vo ik sipāhī jo thā bahut mo'atabar hamārā
kareñ to kis tarah baat ash.ār pe hamāre
khulā nahīñ hai kisī pe ab tak hunar hamārā
suna kisi ne na girya-e-muKHtasar hamara
hua hai chhalni chhanan chhanan se jigar hamara
ye zard wahshat hamare baatin mein ras gai hai
tawil muddat se hum pe hawi hai Dar hamara
tere qabile se jang laD ke shahid honge
kaTa hua hi milega tujh ko ye sar hamara
sabhi manazil pe ja ke wapas palaT rahe hain
ki raegan ja raha hai har ek safar hamara
chahaar jaanib pahaD masti se jhumte hon
hasin shadab wadiyon mein ho ghar hamara
hui nahin hai kisi taraf se bhi ajnabiyyat
hua tha in jangalon se pahle guzar hamara
KHabar mili hai wafa ki sarhad pe mar gaya hai
wo ek sipahi jo tha bahut mo'atabar hamara
karen to kis tarah baat ashaar pe hamare
khula nahin hai kisi pe ab tak hunar hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.