suna rahe hain koi git raste mujhko
suna rahe hain koi git raste mujhko
Dr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'
MORE BYDr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'
sunā rahe haiñ koī giit rāste mujh ko
ye kah rahe haiñ mire paañv kaan de mujh ko
adhūrī rakkhī hai tasvīr us ne duniyā kī
banā le puurī to likhne ko phir kahe mujh ko
koī to ishq kā parcham kahīñ buland kare
to aadmī bhī kabhī aadmī lage mujh ko
tamām umr sunī maiñ ne apne dil kī magar
maiñ chāhtī huuñ mirā dil kabhī sune mujh ko
jo dil ke siip meñ kuchh hasratoñ ke motī haiñ
tire uchhāle ye kankaḌ haiñ mil ga.e mujh ko
charāġh kah ke in āñkhoñ ko kyā kiyā tū ne
ki ab to rone meñ bhī Dar sā hī lage mujh ko
mire vajūd kā paudā kaho lagegā kahāñ
nishāt-o-ġham kī jaḌoñ meñ tumhīñ mile mujh ko
banāyā zaḳhm to pighlā ke mom bhī Daalā
har ek zaḳhm ye sūraj sā ab lage mujh ko
ġhazal ke saath zamāna to chal nahīñ saktā
nahīñ hai sāñcha koī jo ki Dhaal le mujh ko
suna rahe hain koi git raste mujh ko
ye kah rahe hain mere panw kan de mujh ko
adhuri rakkhi hai taswir us ne duniya ki
bana le puri to likhne ko phir kahe mujh ko
koi to ishq ka parcham kahin buland kare
to aadmi bhi kabhi aadmi lage mujh ko
tamam umr suni main ne apne dil ki magar
main chahti hun mera dil kabhi sune mujh ko
jo dil ke sip mein kuchh hasraton ke moti hain
tere uchhaale ye kankaD hain mil gae mujh ko
charagh kah ke in aankhon ko kya kiya tu ne
ki ab to rone mein bhi Dar sa hi lage mujh ko
mere wajud ka pauda kaho lagega kahan
nishat-o-gham ki jaDon mein tumhin mile mujh ko
banaya zaKHm to pighla ke mom bhi Dala
har ek zaKHm ye suraj sa ab lage mujh ko
ghazal ke sath zamana to chal nahin sakta
nahin hai sancha koi jo ki Dhaal le mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.