suna tha neza-o-talwar-o-KHanjar bech Dale hain
sunā thā neza-o-talvār-o-ḳhanjar bech Daale haiñ
magar zill-e-ilāhī ne to lashkar bech Daale haiñ
paḌī haiñ ret ke Tīloñ pe TuuTī kashtiyāñ apnī
huā hai ab ke maujoñ ne samundar bech Daale haiñ
agar vo merī āñkheñ bech detā to munāsib thā
magar us ne to in āñkhoñ ke manzar bech Daale haiñ
kisī ne ehtirāman ik ‘ajā.ib-ghar ke kamre meñ
hamāre jism rakkhe haiñ magar sar bech Daale haiñ
mohabbat se bhare ḳhat bhejte rahte the jo aksar
ab un logoñ ne bhī apne kabūtar bech Daale haiñ
kisī din apne bachchoñ se lipaT kar ro.eñge nādāñ
jinhoñ ne shahr jā kar gaañv ke ghar bech Daale haiñ
ye vo ehsān hai tujh se jo marte dam na utregā
ki terī parvarish meñ maañ ne zevar bech Daale haiñ
suna tha neza-o-talwar-o-KHanjar bech Dale hain
magar zill-e-ilahi ne to lashkar bech Dale hain
paDi hain ret ke Tilon pe TuTi kashtiyan apni
hua hai ab ke maujon ne samundar bech Dale hain
agar wo meri aankhen bech deta to munasib tha
magar us ne to in aankhon ke manzar bech Dale hain
kisi ne ehtiraman ek ‘ajaib-ghar ke kamre mein
hamare jism rakkhe hain magar sar bech Dale hain
mohabbat se bhare KHat bhejte rahte the jo aksar
ab un logon ne bhi apne kabutar bech Dale hain
kisi din apne bachchon se lipaT kar roenge nadan
jinhon ne shahr ja kar ganw ke ghar bech Dale hain
ye wo ehsan hai tujh se jo marte dam na utrega
ki teri parwarish mein man ne zewar bech Dale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.