suna to hoga hi sarkar jhuT bolte hain
sunā to hogā hī sarkār jhuuT bolte haiñ
nihāñ nahīñ sar-e-bāzār jhuuT bolte haiñ
adālateñ hoñ ki munsif ho yā gavāh koī
hamāre haq meñ ye har baar jhuuT bolte haiñ
hamāre shahr meñ bhūkā na mil sakegā koī
ye māl-o-zar ke parastār jhuuT bolte haiñ
maiñ lā ke chāñd bhī de duuñ jo tum kaho jānāñ
qasam se ishq ke bīmār jhuuT bolte haiñ
hamārā ahd bharegā taraqqiyoñ kī uḌaan
siyāsī log haiñ ayyār jhuuT bolte haiñ
mohabbatoñ kī rivāyat ke pāsbān haiñ ham
zabān kaaT do aḳhbār jhuuT bolte haiñ
yaqīn kaise kareñ vā.izoñ pe ai 'as.ad'
pahan ke jubba-o-dastār jhuuT bolte haiñ
suna to hoga hi sarkar jhuT bolte hain
nihan nahin sar-e-bazar jhuT bolte hain
adalaten hon ki munsif ho ya gawah koi
hamare haq mein ye har bar jhuT bolte hain
hamare shahr mein bhuka na mil sakega koi
ye mal-o-zar ke parastar jhuT bolte hain
main la ke chand bhi de dun jo tum kaho jaanan
qasam se ishq ke bimar jhuT bolte hain
hamara ahd bharega taraqqiyon ki uDan
siyasi log hain ayyar jhuT bolte hain
mohabbaton ki riwayat ke pasban hain hum
zaban kaT do aKHbar jhuT bolte hain
yaqin kaise karen waizon pe ai 'asad'
pahan ke jubba-o-dastar jhuT bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.