suna tu ai baghban haal-e-tabiat-e-gul
sunā tū ai bāġhbān hāl-e-tabī.at-e-gul
na jaane kyoñ aaj mātamī hai navā-e-bulbul
ye Thiik hai aadmī meñ thoḌā rahe tavakkul
magar usī ke sahāre zinda rahe na bilkul
charāġh kab tak yahāñ jalegā ye kaun jaane
havā kī raftār tai karegī jale ki ho gul
maiñ jā.ūñ kyūñkar nikal ke sehra se rāh-e-gulshan
na ālam-e-rang bhaa.e mujh ko na nik.hat-e-gul
tulūa hogī sahar dahān-e-falak se āḳhir
vagarna tārīkī hī azal se rahī tasalsul
ye bā.is-e-be-ruḳhī jo 'nāqid' samajh meñ aaya
vo ḳhair-andeshī hī thī maanā jise taġhāful
suna tu ai baghban haal-e-tabiat-e-gul
na jaane kyon aaj matami hai nawa-e-bulbul
ye Thik hai aadmi mein thoDa rahe tawakkul
magar usi ke sahaare zinda rahe na bilkul
charagh kab tak yahan jalega ye kaun jaane
hawa ki raftar tai karegi jale ki ho gul
main jaun kyunkar nikal ke sehra se rah-e-gulshan
na aalam-e-rang bhae mujh ko na nikhat-e-gul
tulua hogi sahar dahan-e-falak se aaKHir
wagarna tariki hi azal se rahi tasalsul
ye bais-e-be-ruKHi jo 'naqid' samajh mein aaya
wo KHair-andeshi hi thi mana jise taghaful
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.