sunaen kaise sar-e-bazm Khaar hone ka dukh
sunā.eñ kaise sar-e-bazm ḳhaar hone kā dukh
aur ek baar nahīñ baar baar hone kā dukh
tirā habīb na hone ke dukh pe bhārī hai
tire raqīboñ meñ apnā shumār hone kā dukh
ham apne shahr meñ rah kar bhī roz sahte haiñ
hiran kā sher se aise shikār hone kā dukh
har ek saañs pe be-maut mārtā hai mujhe
ye pāk-dāmanī meñ dāġh-dār hone kā dukh
hamārī apnī koī samt tak nahīñ yaaro
yahī hai raah kā uḌtā ġhubār hone kā dukh
akelā tū hī nahīñ dostī kā bojh liye
hamāre saath bhī hai ġham-gusār hone kā dukh
sunaen kaise sar-e-bazm KHar hone ka dukh
aur ek bar nahin bar bar hone ka dukh
tera habib na hone ke dukh pe bhaari hai
tere raqibon mein apna shumar hone ka dukh
hum apne shahr mein rah kar bhi roz sahte hain
hiran ka sher se aise shikar hone ka dukh
har ek sans pe be-maut marta hai mujhe
ye pak-damani mein dagh-dar hone ka dukh
hamari apni koi samt tak nahin yaro
yahi hai rah ka uDta ghubar hone ka dukh
akela tu hi nahin dosti ka bojh liye
hamare sath bhi hai gham-gusar hone ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.